jo ḳhushk jhiil kī miTTī se aab māñgte haiñ
vo añdhkār se rañgoñ ke ḳhvāb māñgte haiñ
lahū pilāte haiñ jo log ham ko jīvan-bhar
vo shaam hote hī kyuuñ kar sharāb māñgte haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ hai ḳhud apne hone kī
jo har savāl se pahle javāb māñgte haiñ
vo qatl karne kī aate haiñ ḳhvāhisheñ le kar
jo māñgte haiñ to taaza gulāb māñgte haiñ
bhulā ke rakhte haiñ jo log sach kī kaḌvāhaT
jo mīThe lafzoñ kī har-dam naqāb māñgte haiñ
hamārī umr bhī lag jaa.e un ko ai maulā
jo dā.eroñ se nikal kar nisāb māñgte haiñ
amal kī raah se ġhāfil haiñ jo vahī 'rāhī'
ḳhudā se apne dukhoñ kā hisāb māñgte haiñ