sarāb-e-sahrā meñ paanī talāsh kartā hai
vo daldaloñ meñ ravānī talāsh kartā hai
har ek zarre se pahchān rab kī hotī hai
vo phir bhī us kī nishānī talāsh kartā hai
use yaqīn hai apne ḳhudā kī rahmat par
jo tapte sahrā meñ paanī talāsh kartā hai
kitāb-e-dil ko samajhnā muhāl hai us kā
vo chehrā chehrā ma.ānī talāsh kartā hai
na.e ġhamoñ ke añdheroñ se jañg hai us kī
bujhe diyoñ kī javānī talāsh kartā hai
hoñ raaja rānī, hoñ lashkar, hoñ hāthī ghoḌe sab
vo har kahānī meñ naanī talāsh kartā hai
bahut sharīf hai to 'chāñd' jā ke sansad meñ
'kabir-das' kī vaanī talāsh kartā hai