Zuhoor-ul-Islam Javed

nakaami-e-sad-hasrat-e-parina se Dar jaen

Zuhoor-ul-Islam Javed

nakāmī-e-sad-hasrat-e-pārīna ke Dar jaa.eñ
kuchh roz to ārām se apne bhī guzar jaa.eñ
ai dil-zadagāñ ab ke bhī is fasl-e-junūñ meñ
phir bahr-e-ḳhirad nok-e-sināñ kitne hī sar jaa.eñ
ye rishta-e-jāñ tār-e-rag-e-jān kī mānind
TuuTe jo kabhī ḳhaak meñ ham ḳhāk-basar jaa.eñ
hai harf-shanāsī kisī ā.īne kī mānind
patthar koī paḌ jaa.e to sab harf bikhar jaa.eñ
parvarda-e-shab ko hai kahāñ jur.at-e-iz.hār
Darte haiñ ki shānoñ se kahīñ sar na utar jaa.eñ
is qarya-e-yaḳh-basta meñ ai sho.ala-sifat aa
jazbāt na ajsām kī mānind ThiThar jaa.eñ
ye ḳhirqa-e-darveshī hameñ raas hai 'jāved'
dastār-o-qabā pahan leñ ham log to mar jaa.eñ
Top Urdushayar.com