tevar bhī dekh lījiye pahle ghaTāoñ ke
phir bādbān kholiye ruḳh par havāoñ ke
tum saath ho to dhuup bhī mujh ko qubūl hai
tum duur ho to paas bhī jā.ūñ na chhāñv ke
ḳhud hī charāġh-e-va.ada bujhā de jo ho sake
ye hausle bhī dekh le merī vafāoñ ke
log apnā mudda.ā-e-dilī kah ke jā chuke
mazmūn sochte rahe ham iltijāoñ ke
mujh ko har ek shart safar kī qubūl hai
kāñTe nikāl de koī bas mere paañv ke
kānoñ meñ jaise koī shahd ghol de 'zuhūr'
kitnī miThās hotī hai lahje meñ maaoñ ke