Zuhoor-ul-Islam Javed

falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahonche

Zuhoor-ul-Islam Javed

falak ko fikr koī mehr-o-māh tak pahoñche
hameñ ye zo.am ki ham vaah vaah tak pahoñche
unheñ na rakh tū karam kī nigāh se mahrūm
jo luT-luTā ke tirī bārgāh tak pahoñche
huā na ham se mudāvā-e-dard-e-nau-e-bashar
bahut chale to savāb-o-gunāh tak pahoñche
na jaane kab se huuñ sargarm-e-justujū ai dost
na jaane kab ruḳh-e-manzil nigāh tak pahoñche
vufūr-e-shauq meñ ye ehtiyāt ho na sakī
ki aarzū na hamārī nigāh tak pahoñche
hamārī ziist kī rūdād-e-gul ye hai 'jāved'
ki mai-kade se chale ḳhānqāh tak pahoñche
Top Urdushayar.com