Zuhoor-ul-Islam Javed

farzana hun aur nabz-shanas-e-do-jahan hun

Zuhoor-ul-Islam Javed

farzāna huuñ aur nabz-shanās-e-do-jahāñ huuñ
dīvāna huuñ aur be-ḳhabar-e-sūd-o-ziyāñ huuñ
hālāñki maiñ har vaqt vahīñ huuñ vo jahāñ haiñ
vo sochte rahte haiñ maiñ kyā jaane kahāñ huuñ
merī hī taraf hai nigarāñ vaqt kī devī
har ahd meñ har daur meñ taqdīr-e-jahāñ huuñ
muhtāj-e-tavajjoh mirī har nargis-e-maḳhmūr
ai dost javāñ huuñ maiñ javāñ huuñ maiñ javāñ huuñ
mujh hī se ibārat hai ye tanzīm-e-gulistāñ
maiñ ḳhanda-e-gul hī nahīñ kāñToñ kī zabāñ huuñ
qaa.em hai mujhī se mire aslāf kī azmat
maiñ apne buzurgoñ kī sadāqat kā nishāñ huuñ
naġhmoñ ne mire dhuum machā dī hai chaman meñ
'jāved' maiñ ik tanz pai-e-nauha-girāñ huuñ
Top Urdushayar.com