Zuhoor-ul-Islam Javed

kaam hain aur zaruri kai karne ke liye

Zuhoor-ul-Islam Javed

kaam haiñ aur zarūrī ka.ī karne ke liye
kaun baiThā hai tire ishq meñ marne ke liye
raat guzre hue ḳhvāboñ kī ridā oḌhe thī
subah-e-tābīr ke chilman pe bikharne ke liye
īstāda the sitāre tirī dahlīz ke saath
chāñd be-chain thā āñgan meñ utarne ke liye
dast-e-fan-kār kī fankārī kā aalam ye ho
naqsh be-chain ho patthar pe ubharne ke liye
koī manzil to mile ābla-pā.ī ke tufail
koī sūrat to bane chehra sañvarne ke liye
is hujūm-e-kas-o-nā-kas ko bhī jaanā hai kahīñ
rāsta dījiye is ko bhī guzarne ke liye
Top Urdushayar.com