phir sar-e-dār-e-vafā rasm ye Daalī jaa.e
gul ho ik sham.a to ik aur jalā lī jaa.e
duur karnī ho jo tārīkī-e-rāh-e-iḳhlās
mash.al-ashk-e-nadāmat hī jalā lī jaa.e
aa.ina maiñ ne sar-e-rāhguzar rakhā hai
taaki ahbāb kī kuchh ḳhām-ḳhayālī jaa.e
haal ye tark-e-ta.alluq pe huā kartā hai
jaise machhlī koī paanī se nikālī jaa.e
tū ise apnī tamannāoñ meñ shāmil kar le
ham se to terī tamannā na sambhālī jaa.e
aap ke uThne pe mahfil kā ye aalam paayā
jaise hañste hue chehroñ se bahālī jaa.e
ḳhastagī dekhī hai 'jāved' fasīl-e-dil kī
is pe buniyād shab-e-ġham kī na Daalī jaa.e