Zuhoor-ul-Islam Javed

tera andaz-e-suKHan sab se juda lagta hai

Zuhoor-ul-Islam Javed

terā andāz-e-suḳhan sab se judā lagtā hai
barbat-e-dil pe koī naġhma-sarā lagtā hai
vo diyā jis se ki raushan ho charāġh-e-hastī
ġhaur se dekheñ havāoñ meñ ghirā lagtā hai
ham haiñ āġhosh-e-junūñ meñ to ta.ajjub kaisā
vo bhī to dushman-e-arbāb-e-vafā lagtā hai
gar nahīñ jalvagarī bazm-e-tarab meñ phir bhī
terī ḳhushbū se vahāñ terā patā lagtā hai
donoñ hāthoñ se chhupānā tire chehre kā mujhe
sochtā huuñ to tirā dast-e-duā lagtā hai
jis kā milnā bhī qayāmat se nahīñ kam 'jāved'
is kā milnā bhī mujhe roz-e-jazā lagtā hai
Top Urdushayar.com