Rakesh Rahi

ashkon ko meri zat ki tanhai chahiye

Rakesh Rahi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1969
ashkoñ ko merī zaat kī tanhā.ī chāhiye
lekin sag-e-zamāna ko rusvā.ī chāhiye
ham ko tumhārī yaad bhī aatī nahīñ magar
dil ke tamām zaḳhmoñ ko purvā.ī chāhiye
buniyād jin kī jhuuT pe rahtī hai har ghaḌī
un ko bhī kārobār meñ sachchā.ī chāhiye
har vaqt ham raheñ yahāñ haq kī panāh meñ
daatā hamārī aañkh ko bīnā.ī chāhiye
baune hamāre shahr ke bechain haiñ bahut
in ko tamām shahr kī ūñchā.ī chāhiye
sūraj kī tez dhuup kī zad meñ hai ab ye shahr
mausam kī ik hasīn sī añgḌā.ī chāhiye
'rāhī' madāriyoñ se bharā hai ye gul-jahāñ
sab ko ab apne apne tamāshā.ī chāhiye
Top Urdushayar.com