dānish-o-fahm kā jo bojh sambhāle nikle
un ke az.hān pe afkār pe jaale nikle
maiñ ye samjhā ki koī narm zamīñ aa pahūñchī
ġhaur se dekhā to vo paañv ke chhāle nikle
zaḳhm khā kar ye thī ḳhush-fahmī ki mar jā.eñge
dosto ham to baḌe hausle vaale nikle
dil TaTolā shab-e-tanhā.ī to mahsūs huā
ham bhī ai dost tire chāhne vaale nikle
aaj ke daur ke suqrāt pe kyā hogā asar
apnī hī zaat meñ jo zahr ke pyāle nikle
phan ko phailā.e jo ye aaj khaḌe haiñ 'jāved'
āstīñ ke ye mirī apne hī paale nikle