saroñ pe dhuup kā ik sā.ebān rahne de
zamīñ rahe na rahe āsmān rahne de
maiñ āgahī kī fasīloñ ko chuum aayā huuñ
mire ḳhudā tū mujhe be-zabān rahne de
amīr-e-shahr kā aivān kaañp uTThegā
ġharīb-e-shahr huuñ merā bayān rahne de
mire ḳhudā tire dozaḳh ko ḳhuld samjhūñgā
maiñ ik bashar huuñ mirā imtihān rahne de
mahak to gul kī har ik samt jā.egī 'sā.ib'
vo chāhtā hai tujhe ye gumān rahne de