aag barastī lagtī hai dīvāroñ se
'sā.ib' kyā likh aa.e ho añgāroñ se
qatl ke ba.ad mujhe saa.e meñ Daal aate
itnī to ummīd thī mujh ko yāroñ se
merā dukh-sukh bāñTne to aa jaate haiñ
ham-sā.e achchhe haiñ rishte-dāroñ se
dekh lo apnā sar rakkhā hai nezoñ par
fāsla ham ne rakkhā hai dastāroñ se
āḳhir kab tak qatl kī ḳhabreñ paḌhnī haiñ
ab to vahshat hotī hai aḳhbāroñ se