muntazir apne liye bhī jo khule dar hote
ham bhī auroñ kī tarah raat ga.e ghar hote
sar jhukāne kā maraz phail gayā har jānib
varna is shahr meñ kuchh log qad-āvar hote
us se pahle nahīñ guzrā huuñ yahāñ se shāyad
aisā hotā to phir is raah meñ patthar hote
rāste kaaT diye ham ne ḳhud apne hāthoñ
varna kyā jāniye ham aaj kahāñ par hote
jism ke saa.e se andāza-e-qāmat na karo
jism ke saa.e nahīñ qad ke barābar hote