ḳhudāyā zaḳhmoñ meñ shiddat-e-dard aur bhī kuchh shadīd kar de
phir is ke ba.ad in tamām zaḳhmoñ se ik suḳhan tū kashīd kar de
machalnā ai dil burā nahīñ hai to zid bhī karnā durust kab hai
kisī kī āñkheñ nahīñ khilaunā jo koī tujh ko ḳharīd kar de
sabhī ne dekhā hai qatl hote magar koī boltā nahīñ hai
mujhī ko yārab zabān de kar ye vāqi.a chashm-dīd kar de
tirī jazā-o-sazā kī mantiq hamāre afkār se sivā hai
tū jis ko chāhe husain kar de tū jis ko chāhe yazīd kar de
ibādatoñ ke liye imārāt muḳhtalif haiñ ḳhudā vahī hai
to chāhe mandir ko toḌ Daale ki koī masjid shahīd kar de