Fayyaz Uddin Saieb

chal raha hai jo yahan tu baDe pindar ke sath

Fayyaz Uddin Saieb

Karachi, Sindh, Pakistan

1963
chal rahā hai jo yahāñ tū baḌe pindār ke saath
sar na aa jaa.e zamīñ par kahīñ dastār ke saath
jañg kā faisla dushman ko mire karnā hai
phuul rakhtā huuñ maiñ ik haath meñ talvār ke saath
ghar kī taqsīm se hal koī nahīñ niklegā
mas.ale aur khaḌe hote haiñ dīvār ke saath
is liye ḳhauf nahīñ madd-e-muqābil kā mujhe
jaañ hathelī pe jo rakhtā huuñ maiñ inkār ke saath
mārne vaale kahānī meñ mujhe bhuul ga.e
lauT ā.ūñgā maiñ phir se na.e kirdār ke saath
ab mirī fat.h ke āsār numāyāñ haiñ bahut
ab sabhī dost mire mil ga.e aġhyār ke saath
Top Urdushayar.com