mirī chashm-e-tamāshā ab jahāñ hai
tajallī kārvāñ dar kārvāñ hai
yaqīñ hai āḳhirī manzil gumāñ kī
yaqīñ kī āḳhirī manzil gumāñ hai
vo mujh se duur to itne nahīñ haiñ
faqat ik be-yaqīnī darmiyāñ hai
ye raaz ahl-e-fuġhāñ par faash kar do
ḳhamoshī bhī ik andāz-e-fuġhāñ hai
ye mīr-e-kārvāñ se koī kah de
ki maiñ huuñ aur talāsh-e-kārvāñ hai