Jagan Nath Azad

ek nazar hi dekha tha shauq ne shabab un ka

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
ik nazar hī dekhā thā shauq ne shabāb un kā
din ko yaad hai un kī raat ko hai ḳhvāb un kā
gir ga.e nigāhoñ se phuul bhī sitāre bhī
maiñ ne jab se dekhā hai ālam-e-shabāb un kā
nāsehoñ ne shāyad ye baat hī nahīñ sochī
ik taraf hai dil merā ik taraf shabāb un kā
ai dil un ke chehre tak kis tarah nazar jaatī
nuur un ke chehre kā ban gayā hijāb un kā
ab kahūñ to maiñ kis se mere dil pe kyā guzrī
dekh kar un āñkhoñ meñ dard-e-iztirāb un kā
hashr ke muqābil meñ hashr hī saf-ārā hai
is taraf junūñ merā us taraf shabāb un kā
Top Urdushayar.com