Jagan Nath Azad

phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
phir lauT kar ga.e na kabhī dasht-o-dar se ham
nikle bas ek baar kuchh is tarah ghar se ham
kuchh duur tak chale hī ga.e be-ḳhabar se ham
ai be-ḳhudī-e-shauq ye guzre kidhar se ham
āzād be-niyāz the apnī ḳhabar se ham
palTe kuchh is tarah se deccan ke safar se ham
qalb-o-nazar kā daur bas itnā hī yaad hai
vo ik qadam udhar se baḌhe the idhar se ham
ai kaash ye sadā bhī kabhī kaan meñ paḌe
uTTho ki lauT aa.e haiñ apne safar se ham
dil kā chaman hai kaif-e-bahārāñ liye hue
guzre the ek baar tirī rah-guzar se ham
aatā hai ik sitāra nazar chāñd ke qarīb
jab dekhte haiñ ḳhud ko tumhārī nazar se ham
is se zyāda daur-e-junūñ kī ḳhabar nahīñ
kuchh be-ḳhabar se aap the kuchh be-ḳhabar se ham
jitnī bhī rah ga.ī thī kamī dil ke dard meñ
utnā hī luT ga.e haiñ matā.a-e-nazar se ham
roz-e-azal se apnī jabīñ meñ taḌap rahī
vābasta yuuñ rahe haiñ tire sañg-e-dar se ham
Top Urdushayar.com