koī iz.hār-e-ġham-e-dil kā bahāna bhī nahīñ
ho bahāna bhī jo koī to zamāna bhī nahīñ
zindagī tujh ko jo samjhā huuñ to itnā hī faqat
tū haqīqat bhī nahīñ aur fasāna bhī nahīñ
ḳhāmushī fikr kā mamba.a bhī hai aur baat ye hai
sāf-goī kā azīzo ye zamāna bhī nahīñ
ik ḳhazāna thā mirā 'josh'-malīh-ābādī
ab to 'āzād' vo hāthoñ meñ ḳhazāna bhī nahīñ
aaj ke daur meñ 'āzād' ġhanīmat hai bahut
tum use yaad na rakhnā to bhulānā bhī nahīñ