Jagan Nath Azad

main dil mein unki yaad ke tufan ko pal kar

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
maiñ dil meñ un kī yaad ke tūfāñ ko paal kar
laayā huuñ ek mauj-e-taġhazzul nikāl kar
paimāna-e-tarab meñ kahīñ baal aa gayā
maiñ garche pī rahā thā bahut hī sambhāl kar
mahfil jamī huī hai tirī raah meñ koī
ai gardish-e-zamāna bas itnā ḳhayāl kar
āzād jins-e-dil ko faqat ik nazar pe bech
saudā girāñ nahīñ na bahut qīl-o-qāl kar
ḳhat ke javāb meñ na lagā itnī der tū
merā agar nahīñ hai to apnā ḳhayāl kar
kyuuñ maiñ ne dil diyā hai kise maiñ ne dil diyā
ai aql aaj mujh se na itne savāl kar
ai dil ye rāh-e-ishq hai rāh-e-ḳhirad nahīñ
is par qadam baḌhā tū zarā dekh bhaal kar
phir ishq bazm-e-husn kī jānib ravāñ hai aaj
dīvāngī ko aql ke sāñche meñ Dhaal kar
'āzād' phir dakan kā samundar hai aur tū
le jā dil o nazar kā safīna sambhāl kar
Top Urdushayar.com