mumkin nahīñ ki bazm-e-tarab phir sajā sakūñ
ab ye bhī hai bahut ki tumheñ yaad aa sakūñ
ye kyā tilism hai ki tirī jalva-gāh se
nazdīk aa sakūñ na kahīñ duur jā sakūñ
zauq-e-nigāh aur bahāroñ ke darmiyāñ
parde gire haiñ vo ki na jin ko uThā sakūñ
kis tarah kar sakoge bahāroñ ko mutma.in
ahl-e-chaman jo maiñ bhī chaman meñ na aa sakūñ
terī hasīñ fazā meñ mire ai na.e vatan
aisā bhī hai koī jise apnā banā sakūñ
'āzād' sāz-e-dil pe haiñ raqsāñ vo zamzame
ḳhud sun sakūñ magar na kisī ko sunā sakūñ