jalva tirā is tarah se nākām na hotā
ham tuur pe hote to ye anjām na hotā
suntā maiñ kahāñ vā.iz-e-nādān kī nasīhat
gar vāz-o-nasīhat meñ tirā naam na hotā
ġhunche kī chaTak dil kī tahoñ meñ na utartī
is meñ jo nahufta tirā paiġhām na hotā
ye rizq kī hai kor-nigāhī kī nahīñ baat
daana bhī na hotā jo kahīñ daam na hotā
kaTtā bhalā kyūñkar shab-e-furqat kā añdherā
palkoñ pe charāġhāñ jo sar-e-shām na hotā
'āzād' nasheman se qafas meñ jo na aate
is vaqt jo hāsil hai vo ārām na hotā