muddat ho ga.ī sāz-e-mohabbat khol de ab ye raaz
vo merī āvāz haiñ bāñhoñ meñ un kī āvāz
kitnī manāzil tai kar aayā merā shauq-e-niyāz
ai nazroñ se chhupne vaale ab to de āvāz
kyuuñ har gaam pe merā dil hai sajdoñ pe majbūr
kyā nazdīk kahīñ hai terī jalva-gāh-e-nāz
asl meñ ek hī kaifiyyat kī do tasvīreñ haiñ
terā kibr-o-nāz ho yā ho merā jazb-e-niyāz