Jagan Nath Azad

KHayal-e-yar jab aata hai betabana aata hai

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
ḳhayāl-e-yār jab aatā hai betābāna aatā hai
ki jaise sham.a kī jānib koī parvāna aatā hai
tasavvur is tarah aatā hai terā mahfil-e-dil meñ
mire hāthoñ meñ jaise ḳhud ba-ḳhud-paimāna aatā hai
ḳhirad vaalo ḳhabar bhī hai kabhī aisā bhī hotā hai
junūñ kī justujū meñ aap hī vīrāna aatā hai
kabhī qasd-e-haram ko jab qadam apnā uThātā huuñ
mire har ik qadam par ik nayā but-ḳhāna aatā hai
dar-e-jānāñ se aatā huuñ to log aapas meñ kahte haiñ
faqīr aatā hai aur bā-shaukat-e-shāhāna aatā hai
dakan kī hiir se 'āzād' koī jā ke ye kah de
ki rāñjhe ke vatan se aaj ik dīvāna aatā hai
vahī zikr-e-dakan hai aur vahī furqat kī bāteñ haiñ
tujhe 'āzād' koī aur bhī afsāna aatā hai
Top Urdushayar.com