Rakesh Rahi

haqiqaton ko tasawwur se khinch late hain

Rakesh Rahi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1969
haqīqatoñ ko tasavvur se khīñch laate haiñ
ham aise log kahānī nahīñ banāte haiñ
ajiib log haiñ bastī meñ raushnī ke liye
diyā jalāte nahīñ haiñ dhuāñ uḌāte haiñ
ilaaj maañg rahe haiñ ye nāqidīn-e-ahd
jo āftāb ko dīpak yahāñ dikhāte haiñ
tumhārī fikr kī baisākhiyāñ nahīñ lete
ham apnī fikr se apnā jahāñ banāte haiñ
hamāre paañv ke chhāle hamārī manzil tak
ubal ubal ke nayā rāsta banāte haiñ
kalām kartī haiñ aksar vo jāgtī āñkheñ
unheñ ham apne tasavvur meñ jab sajāte haiñ
purānī fikr pe qaa.em hai ye na.ī duniyā
ham us ko roz hī paḌhte haiñ bhuul jaate haiñ
kisī tarah se na kar pā.ūñgā tirī taqlīd
mire ḳhayāl ke aahū mujhe bulāte haiñ
hamārā kaam hai barsoñ se bas yahī raahī
bhaTak ga.e jo unheñ rāsta dikhāte haiñ
Top Urdushayar.com