jab apne naġhme na apnī zabāñ tak aa.e
tire huzūr ham aa kar bahut hī pachhtā.e
ḳhayāl ban na sakā naġhma garche ham ne use
hazār tarah ke malbūs-e-lafz pahnā.e
ye husn-o-rañg kā tūfāñ hai ma.āz-allāh
nigāh jam na sake aur thak ke rah ga.e
jo dard uThe bhī to iz.hār us kā ho kyūñkar
huzūr-e-husn agar āvāz baiTh hī jaa.e
haTe nazar se na furqat kī dhuup meñ 'āzād'
kisī kī sumbul-e-shab rañg ke ghane saa.e