terā ḳhayāl hai dil-e-hairāñ liye hue
yā zarra āftāb kā sāmāñ liye hue
dekhā unheñ jo dīda-e-hairāñ liye hue
dil rah gayā jarāhat-e-pinhāñ liye hue
maiñ phir huuñ iltifāt-e-gurezāñ kā muntazir
ik yād-e-iltifāt-e-gurezāñ liye hue
maiñ chheḌne lagā huuñ phir apnī na.ī ġhazal
aa jaao phir tabassum-e-pinhāñ liye hue
kyā bebasī hai ye ki tire ġham ke saath saath
maiñ apne dil meñ huuñ ġham-e-daurāñ liye hue
furqat tirī to ek bahāna thī varna dost
dil yuuñ bhī hai mirā ġham-e-pinhāñ liye hue
ab qalb-e-muztarib meñ nahīñ tāb-e-dard-e-hijr
ab aa bhī jaao dard kā darmāñ liye hue
sirf ek shrt-e-dīda-e-bīnā hai ai kalīm
zarre bhī haiñ tajlli-e-pinhāñ liye hue
maiñ ne ġhazal kahī hai jigar kī zamīn meñ
dil hai mirā nadāmat-e-pinhāñ liye hue
āzād zauq-e-dīd na ho ḳhaam to yahāñ
har ā.īna hai jalva-e-jānāñ liye hue