Jagan Nath Azad

itna bhi shor tu na gham-e-sina chaak kar

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
itnā bhī shor tū na ġham-e-sīna chaak kar
ishq ik latīf shola hai is ko na ḳhaak kar
ai dil huzūr-e-dost ba-sad ehtirām jā
dāman ko chaak kar na garebāñ ko chaak kar
daur-e-ġham-e-firāq kī tārīkiyoñ ko dho
jalvoñ se un ke apnā jahāñ tābnāk kar
Dar hai kahīñ maiñ shauq-e-farāvāñ se mar na jā.ūñ
ai jazba-e-tarab na mujhe yuuñ halāk kar
āzād is se pahle ki un par nazar paḌe
ashkoñ se dhoke apnī nigāhoñ ko paak kar
Top Urdushayar.com