jin ko apnī rāhoñ meñ diqqateñ nahīñ miltī
un ko apnī manzil kī sohbateñ nahīñ miltī
ḳhuun mere siine kā aañkh tak nahīñ aayā
itnī jald ġhazloñ ko shohrateñ nahīñ miltī
duur rah ke vo mujh se thā qarīb-tar kitnā
paas rah ke kyuuñ us kī qurbateñ nahīñ miltīñ
ik pukār sunte hī jā rahā huuñ maqtal meñ
roz roz dushman kī dāvateñ nahīñ miltīñ
jis ke dil meñ rahtī hai sirf aap kī sūrat
us ko rāh-e-duniyā kī āfateñ nahīñ miltīñ
ham ko mil ga.ī hotī apne ishq kī manzil
gar hameñ ye duniyā kī tohmateñ nahīñ miltīñ
apnī dhun ke 'rāhī' ko raah kyā batāte ho
ham se terī duniyā kī ādateñ nahīñ miltīñ