sitam sahte hue har din na.ī ḳhvāhish se Dartā huuñ
mirī āñkhoñ meñ ġham hai aur maiñ bārish se Dartā huuñ
mirī pākīzgī ne hī banāyā hai mujhe munsif
so maiñ insāf karte vaqt har laġhzish se Dartā huuñ
diloñ kī vus.atoñ ko baañT hī saktī nahīñ duniyā
maiñ qistoñ meñ bañTā huuñ aur paimā.ish se Dartā huuñ
jalātā huuñ mohabbat ke diye nafrat ke āñgan meñ
nazar rakhtā huuñ dushman par har ik shorish se Dartā huuñ
mirī āvārgī mujh ko kahīñ rukne nahīñ detī
parinda huuñ rihā.ish kī har ik ḳhvāhish se Dartā huuñ
ġhazal meñ justujū rakhtā huuñ maiñ mafhūm-e-tāzā kā
mire nāqid maiñ ḳhud lafzoñ kī ārā.ish se Dartā huuñ
ajab ehsās kī manzil pe aa pahuñchā huuñ ai 'rāhī'
lagātā huuñ diloñ meñ aag aur jumbish se Dartā hoñ