aur kitnā abhī parhez kiyā jā.egā
in charāġhoñ ko kabhī tez kiyā jā.egā
ham tire rañg meñ rañg jā.eñge yā phir ham ko
aap hī kī tarah rañg-rez kiyā jā.egā
ham khaḌe ho ga.e haiñ haq ke tahaffuz ke liye
ham se ab jaan ke parhez kiyā jā.egā
zulm sah ke bhī baġhāvat nahīñ kī hai ham ne
zālimoñ ko abhī chañgez kiyā jā.egā
pahle hī TuuT chukā ghar kā tasavvur 'rāhī'
aur kitnā hameñ añgrez kiyā jā.egā