bulbul ko phir chaman meñ lagā laa.ī bū-e-gul
ai kaash hotī gul-badanoñ meñ bhī ḳhū-e-gul
dil daaġh daaġh us meñ ḳhayāl-e-ḳhirām-e-nāz
jis tarah uḌtī phirtī ho gulshan meñ bū-e-gul
āshiq hī jab nahīñ to ḳhizāñ hai bahār-e-husn
bulbul ke saath saath ga.ī ābrū-e-gul
rāz-e-mohabbat aur dil-e-ġhuncha tā-ba-kai
niklegī bū ke parde meñ har ārzū-e-gul
lo 'shād' sair-e-gul se bhī nafrat huī unheñ
samjhe magar ki bū-e-mohabbat hai bū-e-gul