Rakesh Rahi

bhik le kar hi agar dan kiya jaega

Rakesh Rahi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1969
bhiik le kar hī agar daan kiyā jā.egā
apnī hī zaat kā nuqsān kiyā jā.egā
aap ne fikr kī bharpūr himāyat kī hai
aap ko sāhib-e-īmān kiyā jā.egā
aap kyuuñ sach ke tahaffuz meñ khaḌe haiñ ab tak
aap ko roz pareshāñ kiyā jā.egā
hijr ke zaḳhm to rusvā hī kareñge mujh ko
aur phir chaak garebān kiyā jā.egā
apnī āñkhoñ meñ basā kar ke tirā aks-e-jamīl
muddatoñ tak tujhe mehmān kiyā jā.egā
is sabab se kabhī nazreñ na milā paa.e to
tujh pe ye soch ke ehsān kiyā jā.egā
kaam mushkil hai bharosa hai magar 'rāhī' ko
us ke insān ko insān kiyā jā.egā
Top Urdushayar.com