un kī aamad se jo armān machal jaate haiñ
ḳhud-baḳhud raah ke āsār badal jaate haiñ
ham to un logoñ meñ shāmil haiñ hamārā kyā hai
jo umīdoñ ke sahāre hī bahal jaate haiñ
merī āñkhoñ meñ tire hijr ke aañsū haiñ jame
vo mire jazboñ kī hiddat se pighal jaate haiñ
sub.h-e-sādiq kī tarah ujle haiñ jazbe un ke
jo bure vaqt meñ gir ke bhī sambhal jaate haiñ
aisā insān ki jis kā koī ġham-ḳhvār na ho
aise insān ko hālāt nigal jaate haiñ
merī āñkhoñ se bhalā ḳhushk hoñ aañsū kaise
kyā kabhī chhoḌ ke paanī ko kañval jaate haiñ