kaTī patañg huuñ maiñ aur be-sahārā huuñ
mujhe kahā nahīñ us ne ki maiñ tumhārā huuñ
ye mujh meñ ātish-e-be-soz jaltī rahtī hai
maiñ raushnī huuñ maiñ jugnū huuñ isti.āra huuñ
tire husūl kī gardish meñ kho ga.ī huuñ maiñ
mujhe batā ki maiñ zarra huuñ yā sitārā huuñ
maiñ ek qatra-e-shabnam huuñ dīda-var ke liye
jo kaj-nigāh haiñ un ke liye sharāra huuñ
maiñ ek umr se buntī huuñ ḳhvāb chāhat ke
hisār-e-dīda-e-nam-nāk meñ ḳhasāra huuñ