aur havā duuñ dil meñ aag bhaḌaktī ko
sho.ala sho.ala raakh kare jo hastī ko
dil thā ek bagūlā hijr ke sahrā meñ
naach rahā thā le kar vasl kī mastī ko
aañkh ke naḳhlistān meñ ret bikhartī hai
kaun sā rasta jaatā hai is bastī ko
gaañv se jo ḳhvāb uThā kar niklā thā
shahr meñ aa kar bhuul gayā pagDanDī ko
merā dil to ḳhālī hai ab dhaḌkan se
kaise koī dekhe nabz dhaḌaktī ko