ye vo yaqīñ hai jo uljhe yaqīñ se niklā hai
hamārī haañ kā ye dhāgā nahīñ se niklā hai
ye dil hai sab se baḌā bhiik māñgne vaalā
pa zindagī kā ḳhazāna yahīñ se niklā hai
tire liye jo yaqīñ dil meñ aa gayā thā mire
vo saañp ban ke mirī āstīñ se niklā hai
falak kī chaah meñ jhūTā yaqīñ zarūrī hai
ye maan lo ki sitārā zamīñ se niklā hai
jahāñ maiñ Duub gayā aur Dūbtā hī gayā
samundaroñ kā samundar vahīñ se niklā hai
mujhe panāh mire dil-nashīñ ne dī hai sadā
mirā makān mire hī makīñ se niklā hai
ye ḳhār-e-ishq hai 'aḳhtar' maza hī detā hai
agar chubhā to kahāñ ye kahīñ se niklā hai