jahān-e-reg tirā aab dekhne ke liye
milī hai aañkh mujhe ḳhvāb dekhne ke liye
gahan lagā de agar zulf se tū chehre par
maiñ aañkh phoḌ luuñ mahtāb dekhne ke liye
ye kyā sitam hai ki aatā huuñ ek sahrā se
zarā sī ghaas ko shādāb dekhne ke liye
uThe the shauq se apnā hī chain kho baiThe
vo mere haal ko betāb dekhne ke liye
lahū kiyā hai jo paanī to ab falāh mirī
chalī hai jhuum ke tālāb dekhne ke liye
zarā sā aur Thahar jā to par lagegā tirā
to ham bhī ā.eñge surḳhāb dekhne ke liye
pakaḌ meñ aa gayā ehsās chhup ke aayā thā
ġhamoñ kī jhiil meñ sailāb dekhne ke liye
tujhe parakh hī nahīñ hai maiñ ek 'aḳhtar' huuñ
to phir taras tū mirā ḳhvāb dekhne ke liye