maiñ terī yaad meñ gum huuñ so maiñ huuñ tū ho kar
ki jaise phuul meñ rahtā huuñ us kī bū ho kar
phir aa jā aur ye tasvīr le ke jā apnī
tū ḳhud ko chhoḌ gayā mere rū-ba-rū ho kar
ye dil to roz nasheman sajā ke rakhtā hai
mirī taraf se guzar tū bhī to kabhū ho kar
gulāb sun to gul-andām aa rahā hogā
dikhā de sāmne us ke bhī surḳh-rū ho kar
tū chāhtā hai to siina yuuñ chiir 'aḳhtar' kā
ki chīrne ko tujhe phir mile rafū ho kar