ham rūh-e-kā.enāt haiñ naqsh-e-asās haiñ
ham vaqt kā ḳhamīr zamāne kī baas haiñ
tanhā haiñ ham tamām na qurbat na fāsle
ham aap ke qarīb na ham apne paas haiñ
kab se Tañge hue haiñ ḳhalāoñ ke aas paas
kab se ye āsmāñ ke sitāre udaas haiñ
ḳhud haT ga.e haiñ duur vo paanī ke zor se
dariyā ke vo kināre jo dariyā-shanās haiñ
ḳhud-rav haiñ ham hameñ na ḳhizāñ se Darā.iye
sahrā ke mast phuul haiñ jañgal kī ghaas haiñ
kitnī bahāreñ aa ke chaman se guzar ga.iiñ
ham haiñ ki ek gul ke liye mahv-e-yās haiñ
jin ke badan pe atlas-o-kamḳhāb hai 'samad'
sach pūchhiye to log vahī be-libās haiñ