Samad Ansari

aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha

Samad Ansari

ā.īna-dil dāġh-e-tamannā ke liye thā
siine kā sadaf ik dur-e-yaktā ke liye thā
jo tairne vaale the vo mañjdhār se guzre
dariyā kā kināra kaf-e-dariyā ke liye thā
kyuuñ haath meñ tere mujhe patthar nazar aayā
dīvāna agar thā to maiñ duniyā ke liye thā
guzrā na tire ba.ad koī kūcha-e-dil se
ye rāsta ik naqsh-e-kaf-e-pā ke liye thā
dīvār se ruktā nahīñ dīvār kā saaya
zabt-e-ġham-e-māzī ġham-e-fardā ke liye thā
koī nahīñ mahfūz yahāñ dast-e-havas se
yūsuf kā jo dāman thā zuleḳhā ke liye thā
be-parda chamaktā hai jo ab mahfil-e-shab meñ
vo chāñd 'samad' kal yad-e-baizā ke liye thā
Top Urdushayar.com