raushnī tak raushnī kā rāsta kah lījiye
raat ko shām-o-sahar kā fāsla kah lījiye
de ga.ī kitnī bahāreñ ek fasl-e-ārzū
rañg-o-bū ko mausamoñ kā ḳhūñ-bahā kah lījiye
gūñjtī hai umr-e-vīrāñ meñ tamannā kī thakan
harf-e-ġham ko gumbad-e-jāñ kī sadā kah lījiye
kund āḳhir kar ga.iiñ talvār ko ḳhūñ-reziyāñ
dostī ko dushmanī kī intihā kah lījiye
bāl-o-par khulte nahīñ jin ke nasheman kī taraf
un uḌānoñ ko havāoñ kī ġhizā kah lījiye
mausam-e-gul dekhiye khulte darīchoñ ke tale
bām-o-dar ko shahr kī āb-o-havā kah lījiye
kuchh nahīñ miltā 'samad' patthar ko teshe ke sivā
āzarī ko āzarī nām-e-ḳhudā kah lījiye