haq-navā.ī ko zamāne kī zabāñ kaun kare
aisī talḳhī ko 'samad' lazzat-e-jāñ kaun kare
ab sar-e-dār vafāoñ ke liye kaun aa.e
chand ḳhvāboñ ke liye tark-e-jahāñ kaun kare
ham ne maanā ki baḌī chiiz hai pābandī-vaqt
sajda-e-shauq ko pāband-e-azāñ kaun kare
vaqt kī chaap se gūñjī hai mirī tanhā.ī
vaqt kī chaap ko ab aur garāñ kaun kare
kaun ūñchī kare bujhte hue anfās kī lau
is añdhere meñ talāsh-e-rag-e-jāñ kaun kare
sho.ala-e-fikr pe sūraj kā gumāñ hotā hai
sho.ala-e-fikr ko mohtāj-e-bayāñ kaun kare
ham vo patthar haiñ ki saiqal ho to ā.īna baneñ
sañg par mashk-e-fan-e-shīsha-garāñ kaun kare
kaun dikhlā.e haqīqat ko 'samad' rāh-e-majāz
hāsil-e-dīda-o-dil nazr-e-butāñ kaun kare