Samad Ansari

patthar ki nind soti hai basti jagaiye

Samad Ansari

patthar kī niiñd sotī hai bastī jagā.iye
āb-e-hayāt sā koī e.ajāz lā.iye
jal jā.iye maqām pe apne misāl-e-sham.a
apne badan kī lau se na ghar ko jalā.iye
ik nahr kāTiye kabhī siine se chāñd ke
dāmān-e-shab meñ nuur kā dhārā bahā.iye
aa to ga.e haiñ aap ḳharīdār kī tarah
kuchh tan ko ḳharch kījiye jaañ ko bhunā.iye
jin ke dhueñ se phailtī hai āfiyat kī lau
aise bhī kuchh charāġh sar-e-shab jalā.iye
ābād kījiye isī ghar meñ junūñ ko aap
is ghar meñ kyā nahīñ hai jo sahrā ko jā.iye
phūTā hai jis se raat ke siine meñ māhtāb
ik biij aisā zulmat-e-dil meñ ugā.iye
chāhat meñ un kī biit ga.ī zindagī 'samad'
ḳhud ko bhī pyaar kījiye ḳhud ko bhī chāhiye
Top Urdushayar.com