Samad Ansari

aazad nahin zehn abhi fikr-e-badan se

Samad Ansari

āzād nahīñ zehn abhī fikr-e-badan se
niklā nahīñ insān abhī apne gahan se
ab daar se miltā hai tirā qāmat-e-bālā
shikva thā tire qad ko bahut sarv-o-saman se
mausam kā nahīñ apne koī jism shanāsā
māthe kā ta.alluq nahīñ māthe kī shikan se
dushvār thā kuchh maiñ bhī zamāne ke hunar par
kuchh duur rakhā vaqt ne mujh ko mire fan se
kyā us ko ḳhabar hai kahāñ le jā.egī ḳhushbū
vo phuul ki utrā hai abhī shāḳh-e-chaman se
har rañg milā hai mujhe maazī kī dhanak se
har tarz na.ī aa.ī hai andāz-e-kuhan se
utrā hai 'samad' shahr pe vo rañg-e-takalluf
fan ko bhī ta.alluq nahīñ be-sāḳhta-pan se
Top Urdushayar.com