Samad Ansari

wo gum hue hain musafir rah-e-tamanna mein

Samad Ansari

vo gum hue haiñ musāfir rah-e-tamannā meñ
ki gard bhī nahīñ ab aarzū ke sahrā meñ
hai kaun jalva-sarā bām-e-āfrīnash par
utar ga.e haiñ sitāre se chashm-e-bīnā meñ
milī thī jis ko numū dard kī salīboñ se
vo lams bhī nahīñ baaqī mire masīhā meñ
kashīd jin se huī thī na.e zamānoñ kī
vo mai-kade bhī hue ġharq mauj-e-sahbā meñ
uThā liyā thā jinheñ ġham ne shahr-e-mātam se
vo harf likkhe ga.e haiñ ḳhat-e-shakebā meñ
diyā shu.ūr ujāloñ kā sub.h-e-mariyam ko
charāġh kis ne jalāyā shab-e-kalīsā meñ
uThā hai ab ke vo tūfāñ javār-e-sāhil se
ki mauj bhī nahīñ mahfūz qa.ar-e-dariyā meñ
jo le ga.iiñ mire yūsuf ko bāb-e-zindāñ tak
vo chāhateñ bhī nahīñ dāman-e-zuleḳhā meñ
vo zaḳhm jin se milā dard āshnā.ī kā
nahīñ haiñ vo bhī 'samad' ab mire sarāpā meñ
Top Urdushayar.com