Samad Ansari

aahaTon se dimagh jalta hai

Samad Ansari

āhaToñ se dimāġh jaltā hai
aaj sikka havā kā chaltā hai
thartharātī hai lau mashiyyat kī
ek mahshar fazā meñ paltā hai
sar uThāte haiñ naqsh paañv tale
saaya jab aadmī kā Dhaltā hai
rañg chuntā hai zehn billor
jism jab dhuup se pighaltā hai
apne mehvar pe shaam tak sūraj
kitne hī zāviye badaltā hai
kar ke patthar se paash paash hameñ
shahr kā shahr haath maltā hai
sho.ala-zan hai ġham-e-hayāt 'samad'
parbatoñ se dhuāñ nikaltā hai
Top Urdushayar.com