dast-e-shabnam pe dam-e-sho.ala-navā.ī na rakho
sub.h kī god meñ shab bhar kī kamā.ī na rakho
merī yādoñ ke sanam ḳhānoñ se uThne do dhuāñ
mere siine pe abhī dast-e-hinā.ī na rakho
jaag jaa.e na kahīñ husn kā sotā pindār
dīda-e-shauq meñ andāz-e-gadā.ī na rakho
shab ko rahne do yuuñ hī shām-o-sahar kā paivand
Dar ke zulmāt se buniyād-e-judā.ī na rakho
husn bhī apne taqāzoñ se hai āḳhir majbūr
husn ke dosh pe ilzām-e-ḳhudā.ī na rakho
phir kisī taur sameTo ye bikharte hue rañg
yuuñ pareshān tasavvur kī ikaa.ī na rakho
apne vijdān se bhī kaam nikālo koī
rāhbar hī ke liye rāh-numā.ī na rakho
apne zaḳhmoñ ko chhupāo kisī unvān 'samad'
rahguzāroñ meñ ġham-e-ābla paa.ī na rakho