Rakesh Rahi

jo gard zehn pe thi usko saf maine kiya

Rakesh Rahi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1969
jo gard zehn pe thī us ko saaf maiñ ne kiyā
tire gunāh ko aksar muaaf maiñ ne kiyā
tumhāre ishq kā mujh ko milā hai ye in.aam
tamām-shahr ko apne ḳhilāf maiñ ne kiyā
tumhārā dil nahīñ patthar kā ek TukḌā thā
ki jis meñ dard jagā kar shigāf maiñ ne kiyā
vo kah gayā thā ki lauTūñgā par nahīñ lauTā
tamām-umr magar etakāf maiñ ne kiyā
vo baat baat meñ kiiḌe nikālne vaalā
ye kah rahā hai sadā iḳhtilāf maiñ ne kiyā
vo bevafā hai jo kahtā hai mujh se ai 'rāhī'
har ek va.ade pe ḳhud inhirāf maiñ ne kiyā
Top Urdushayar.com